Kal bhi woh darte the

A few lines I wrote after Malala’s
Nobel and some of the reactions of Pakistanis on social media

(English translit. below)

Kal bhi woh darte the
Nihati larkiyon se
Aaj bhi nalaan hain
Aik nanhi Malala se!
Wohi Mazhab ke beopari
Woh Jhoote daawe karne wale
Woh be-aimani ke saudagar
Dashat ke pujari
Kiya tum jante nahin?
Yeh nanhi bachian
Tum ko har baar shikast dein gi!
Yeh bhi sach hai keh
Abhi door hai haq ki Jeet
Is mein bhi maat tumhari
Tum goliyaan barsa kar bhi
Baazi haar gaye
Abhe bohot se mausam-e barood guzarne hain
Abhe Malala ko jilaawatan rehna hai
Aur koo-e malamat ko sanmbhalna hai
Lamba, kathan safar hai baaqi
Aur kuch ho nah ho
Tumhari shikast ki awaz
Tumhari buzdali ke charche
Saare jahan mein aam ho gaye
Ik nihati larki ne
phir se Hara diya
Sab bandooq walon ko
Bandooq dene walon ko
Bandoqen manane walon ko

Leave a Reply